Friday, May 18, 2012

koshish

Kuch muskurahatein, kuch baatein, kuch boondein ikrar ki,
taras gayi hai dhadkan sunne ko kuch batein pyar ki

suni hai duniya, sune ab din raat
bheega har lamha, choota tera sath

chod de is zid ko, man ja mere yar
kitna bhi keh le tu, kam na hoga tera pyar

khatm kar meri tanhaayi ko
ab nahi hota intezaar

kuch sukoon, kuch junoon, kuch vafa, kuch bahaar
bas itni hi chahat hai, main chahoon tujhe beshumar

Sunday, May 13, 2012

koshish 2

Kyun itna door kar dia mujhe khudse tune ae sanam
ke ye ishq tanha toot ke bikhar na jaye

Aansuon se likh rahi hai daastan har pal
Ye dhadkan ro ro ke kahin tham na jaye

Is badhaal dil ki bhi to koi sune
Jo aaine mein khud ko hi dekh sisak raha hai

Ke teri nigaahon ne sambhala tha aaj tak ise..
Aaj is manzar mein bhatakta ye masoom kahi jal na jaye

Followers